By Saurav Kumar Jha
Baithe baithe intezaar me fir apne dino ko humne sham kar diya,
Aur na chah kar bhi is zamane ne fir wo kaam kar diya,
Mann tha bada ki jodu kabhi apna naam tumhare naam ke peeche,
Par tumhare isi naam ne humein is mehfil me bandnam kar diya
Dikh kar bhi na jane kyu ab hum unhe dikhai nahi dete,
Sannate me bhi kyu unhe hum ab sunai nahi dete,
Ab toh aalam-e-zindagi aisi hai Mehboob,
Ki yaadein to hai teri par wo ab pehle si tanhai nahi dete,
Kisine yuhi kaha ye chand bohot khubsurat hai, tumse khubsurat ho jaye main nahi manta,
Sharab nashili hoti hogi magar tumhari ankhon se nashili ho main nahi manta,
Raatein hoti hongi gehri beshak,
Magar tumhari ankhon ke dariya aur in kaali zulfon se gehri ho main nagi manta.
By Saurav Kumar Jha
Comentários