top of page

A Letter To Mom And Dad

By Aswita Shetty


Wo jisne chalna sikhaya,

Wo jisne bolna sikhaya,


Bachpan se lekar aaj tak,

Zindagi ke har mod par,

Jisne jeena sikhaya,


Koi aur nahi – Mere Maa- Papa!


Yu toh jhagde, nok-jhok hai ghar mein hote hai,

Par iss duniya mein agar koi saccha pyaar hai

Toh bas wo MAA-BAAP ki aankho mein,

Apne baccho ke liye hai!


Wo humara kabhi kabhi gharpe jhoot bolkar ghumne jaana,

Wo mummy ka baar baar call kr k tension lena,

Wo humara jhoot pakda jaana, daant padna,

Par aakhir, maa ka papa se sach chupakar humein bacha lena! <3





Wo maa ka naa manne par papa ko makkhan lagana,

Wo “Haa pakka ghar jaldi aajaungi” kehkar thodasa late hona,

Phir maa ka roothna, papa ka manana,

Aur anth me sab theek hojana!


Khud purane joote pehenkar,

humein branded shoes khareedna,

Khud ek roti kam khaakar,

Humein chaar roti aur khilaana…


Aisi kayi sacrifices jo humein dikhayi bhi nahi deti,

Par MAA BAAP ka haste-haste yuhi kar jaana!


Maana, Maana ki hum aajkal ke bacche,

MAA BAAP se saari cheeze share nahi karte ,

Par pyaar humein bhi bohot hao aapse,

Bas jatana nahi jaante…


Wo maa ki god me sona,

Wo papa ka gale se lagana,


Agar iss duniya mein kahi Jannat hai,

Toh wo yaha nahi, toh aur kahi nahi hai!!!


By Aswita Shetty







0 views0 comments

Recent Posts

See All

Irony

By Prashil Karapurkar The sailor was full of life, Llife to the fullest was his aim Llittle did he know Destiny had planned against him,...

Penumbra

By Aniket Patil One night when the lights went high, we met as a lumber. But I haven't  realized that this serendipity will fuse me with...

Kyu Mila Tu Mujhe

By Bhuvi Vishwakarma Kehne ko jee karta nahi, Kahe jo wo hota nahi, Kyu mila tu mujhe, Dil kahi lagta nahi, Kai aaye, Kai gaye, Hum yahi...

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page