By Shivam Yadav
Aaya diwas aazadi ka
kuch naam zehen me aate hain
Jo desh ki mitti ki khatir
jaan apni luta ke jaate hain
Karte na fikar gharwalon ki
jo haste hain muskurate hain
Sarhad pe dushman ki goli
khate na kabhi khabrate hain
Saanson pe apni naam watan ka jo
jeete jee likh jaate hain
Veeron ki bhanti ladhkar jo
veergati paa jaate hain
Mitti me khele fir mitti ka
karz ada kar jaate hain
Har choti pe jaa jaake jo
teeranga lehraate hain
Apni holi eid diwali
aksar ghar se durr manate
Apno ki hifazat karne
ka jab apna farz nibhate
Samjhaye kaise uss man ko
fir bhi hain woh samjhate
Tab jaake ghar apne ghee ke
deep kahin hain jal paate
Jaate ghar se apne vardi ki
khushbu ko odhkar
Woh odh tiranga wapas apne
ghar ko aate hain
Karke yaad unhi hridyon ko
nain sabhi bhar aate hain
Aazadi ke din aur raatein
tabhi mana hum paate hain
By Shivam Yadav
bahut achhha h.......