By Priya
ki purane Jamane Mein log 1000,2-2000 Saal jee Jaate they, Fir Bhi Amar hone ka Vardan mangtey they
jante ho kyon? Kyunki wo Jeene Ka sahi
Tareeka Jante they
unhen saaf-saaf Maloom tha unhen kya-kya chahiye tha
Kisi Ko Rajya,Kisi Ko Stree, Kisi Ko Moksh,kisi
Ko Nirvan chahiye tha
unhen Jo chahiye tha usey lene ka tareeka
bhi unhen Maloom tha
Are purane Jamane Mein To rakshash bhi Masoom tha
Moksh ke liye Tapasya,Rajya ke liye yuddh kar lete they
Mil Gaya to jee letey they,Na Mila To Mar lete they
per Mar-Mar Ke Jeene Ka unhen Tareeka
nahin aata tha
udasiyon,nirasha aur andhere mein Jeene Ka
saleeka nahin aata tha
ki Mar Gaye wo log Jinke Liye amarta Ek Vardaan hai
aajkal Ki Duniya Mein to 60-70 Baras Jeena Bhi ek abhishap Hai
Ki Ab log gussa,nakami aur narazgiyon Ka Bojh Khud per Dale Hain
Aaj ka Kuchh pata nahin aur Aane Wale kal ki fikra pale Hain
lagbhag Har Kisi Ke Dil Mein Ik shaksh aisa hai Jise wo Kabhi Maaf nahin kar Payenge aur ek shakhs Aisa Bhi Hai,Khud Ko Kabhi jiske khilaf Nahin kar Payenge
Yahan Har Kisi Ke Andar Dabi hui ya dabayi
Hui Hai ka Awaaz hai
aaj Ki Duniya Mein log sabse Jyada Khud Se
Hi naraz Hain
Bin Roye bhi Aankhen thaki Hui Hai,Bahar nikalte Hue bhi sab gumnam Hai
Pahle Bina phone Ke Sare Gaon ko jante they,
Aaj Padosi Padosi se Anjan Hain
Agar tachneekiyan akelapan layen to ye
Kaisa Aage Badhana Hua
privacy bhi chahiye asli,Khushi bhi chahiye,
yah ksi vidambna hai
agr Tumhen Pata Hai Tumhen kya chahie to
Aage Badhkar uske liye yuddh karo agar Nahin Le Sakte ya nahin Pa Sakte To
Khud Ko Uske Khyal ke bhi viruddh karo
ki haaron aur Yadon ko Lekar Jeena bhi Kaisa
Jina Hua
Amrit Nahin mil Paya To har roj halaahal kya Peena hua
ki Umra Chhoti Hai Jeevan Nahin,jeene Ka
Honsla Rakho
Kuchh Bhi karo,Kahin Bhi Jao,par Wapis Aane
ko ghonsla rakho
Jab Dil Mein Lagan,Hathon Mein mehnat, palakon Mein Ek Naya Khwab Ban Jaega
tab yah 60-70 Baras ka Jivan Bhi Ek Vardan
Ban Jaega
Ek Vardan Ban jaega.
By Priya
Boht sahi kaha....kya baat hai👌