By Deepanshu Sharma
Ek baar ki baat thi
Hui din me raat thi
Taare the aasman mein
Sooraj ki lalima saath thi
Chand roya bagal mein baith
Hui shuruwat anargal pralaap ki
Chakshu munde munde se the
Ashru ki dhaara prawah thi
Maine rakha kandhe par haath
Usaiy samjhaya bina koi abhyaas
Chal aa chal mera humsafar ban
Ek dusri duniya mein andhere ke paas
Bola itna safar toh nahi kar paunga
Yeh sooraj meri saari sheetalta kha jayega
Ab kehta bhi toh kya kehta
Bas ek tak usaiy main taktaa raha
Bola kuch der soch samajh kar woh
Ek ehsaan kar musaafir
Main andhere ka abhaga hun
Aur tu sheetalta ka maara hai
Kyun na dono ek ho jayein
Main tujhko sheetal kar dunga
Tu mujhko apne andar ghar kar lena
Hue dono pari-poorn yahaan hum
Uska bhi safar khatam mera bhi safar khatam.
By Deepanshu Sharma
Comments