top of page

Bachpan

Updated: Mar 11, 2024

By Juhi Ramnani


Maa ki goud mein Khelna, papa ke

haatho se uchalna aur kandho pe bethna,

Aisa tha mera bachpan…


Scooby do ke title song pe dance karna, aur chilla kar Dil toh pagal hai ganna(apne totle awaaz mein)

Aisa tha mera bachpan…


Maa ke haatho se khana, aur chote se tub mein chab chabiyan karke nahna,

Aisa tha mera bachpan…


Birthday Ke din apne aap ko princess samajna, gifts dekh khush ho jana,

aur khane mein sabko samosa chips khilana

Aisa tha mera bachpan…


School mein birthday ke din rangeen kapdo mein jana,

Assembly mein samne jake bolna,

Woh school mein sabko eclairs dena

Class me samne khade rehna, taki sab tumhare liye happy birthday gaa sake

Aisa tha mera bachpan…


woh jhule pe jhulna, slide se utarna, see saw pe khelna,

wo mele mein jana, merry go round mein bethna aur aadhi ride mein na beth pana aur sochna mein kab badi ho jaungi

Aisa tha mera bachpan…


Woh buddhi ke baal khana

Woh garmiyon mein gola khana

Woh gubaare wale se cheeze karidna,

Aisa tha mera bachpan…



Gali mein Satodiyu, icepice, cricket, football, kho kho ka zamana tha,

aur dhup badh ne par,

room mein beth kar patte, carrom life, board games, movies ( horror wali) ki baari aati thi,

Aisa tha mera bachpan…


cheelte the gutne, but dard khelne ki khushi mein bhul jaate the,

Aisa tha mera bachpan…


Woh panipuri ka maza hi kuch aur tha,

Aur garmi mein candy ka maza kuch aur,

Woh summer vacation mein ghume jana

Diwali vacation ko bhi na chodna,

Aisa tha mera bachpan…



Na padhai ki chinta na paiso ki na ghar ki chinta

TV pe son pari shaka laka boom boom, karishma ka karishma kabhi miss na ho jaye uski chinta karna,

Aisa tha mera bachpan…


Woh pehli baar theatre jana ,car mein ghumna, ganpati dekhne jana, garbo mein jana, patang udana, ude na ude hazaro patang ko pakadna, fatake fodna, pichkari se khelna,

Aisa tha mera bachpan…


Woh school mein naye dost banana,

pen fight khelna, tera eraser use karun mein? puchna, pencil borrow karna,maggi ka dabba sabse zyada jaldi khali ho jana, pencil se pen take promote hone ki khushi hona,

Aisa tha mera bachpan…


Extra PT period ki khushi,

Sports day, annual day ki practice karna

Rocket banana, debate competition mein part lena,

drama mein jee kholkar acting karna,

Art class mein imagination paper pr lana, aur music class mein sa re ga ma pa gana, junior captain banna, class monitor banke logo ke naam board par likhna,

Aisa tha mera bachpan…


Rickshaw mein beth mar ghar jana aur gaate gaate hue jana,

Khana khake homework karke tv dekhke ke apne bedtime pe so jana,

Aisa tha mera bachpan..


Kya woh din wapas jee nahi sakte,

Kya woh khushi wapas mehsoos nahi kar sakte,

Sab cheeze sirf ab yaadon mein bas gayi hai,

Bas bhule nahi isiliye yeh kavita likhi hai..

taki yaad rahe ke…

Aisa tha mera bachpan…


By Juhi Ramnani



123 views16 comments

Recent Posts

See All

Spectre

By Shonil Gramopadhye In those morbid sleepless nights, A voice echoes and cites, The questions and doubts, The wrongs and rights, What...

Pehli Mohabbat

By Prachi Raghuwanshi हां, उनका इत्र आज भी मुझे याद हैहां, उनकी आँखों का वो गेरेुआ रंग मुझे याद हैहां, याद है मुझे उनका हर तरीका,...

Memories Stay

By Joyal Gupta The crumbled-up papers lie Unseen in the attic, A smile is left behind Even by the feel of 'me. All those memories that...

16 Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
rekha khemchandani
rekha khemchandani
Oct 15, 2023
Rated 5 out of 5 stars.

Inspirational

Like

Harsh Harsh
Harsh Harsh
Oct 15, 2023
Rated 5 out of 5 stars.

Awf

Like

Anand Rajwani
Anand Rajwani
Oct 15, 2023
Rated 5 out of 5 stars.

Awesome

Like

N Jeswani
N Jeswani
Oct 15, 2023
Rated 5 out of 5 stars.

Awesome

Like

Meena Jeswani
Meena Jeswani
Oct 15, 2023
Rated 5 out of 5 stars.

Childhood nicely expressed👌👌

Like
bottom of page