By Priya
Pahle Ham Bhi Ek khushhal Parivar they
Sab ke Dilon Mein Ek dusre ke liye bharpur
Pyar they
ki Bade hone ki Ham Sab Ne ye kimat
chukaee Hai
Ek dusre Ke Sar bandhhi dheron Burai Hain
Ghar Chhota tha per Sabke Dilon Mein Ek dusre ke liye Jagah Thi
Khud Ke Khush hone ke liye dusre Ki Khushi Bhi Ek vajah Thi
Aam ki puri peti Aati Thi fir bhi sirf apna
hissa khate they
Koi aa Jata to use Apne Nok-jhonk Ke
majedar Kisse Sunate they
padhaai Mein competition tha per Ek dusre ki help bhi Puri Karte They
Ek dusre ke exam Mein Uske Hisse ka kam
bhi Jaruri Karte They
mahine-do-mahine Mein Sab Ek Sath gullak
fodte they
wo Sare Sikke,Sare chillad Hamen Ek Sath jodte they
Ek dusre ke Doston Ki Burai karna Ham sab ki
Buri Aadat Thi
Upar Se Nafrat dikhate the per Andar Se
Mohabbat thi
batein Hue To Arsa Hua Ab To bas bahasen
hoti hain
Mano Ghar Koi Adalat Ho Aur vakeelon Ke
daleele hoti hain
ki Umra Badhi to Tuzrbon Ne Hamen bahut Hoshiyar kar diya
sab Kuchh pane ki koshish mein bilkul hi
Kangaal Kar Diya
ab khud ko Achha batane ko dusre ko
Badnaam Kiya Jata Hai
Koi kam Bigad Jaaye to ilzam beGunah Ke
Naam Kiya jata hai
ki Rajneeti ka ek trailer apne ghar mein bhi
dekhne Ko Mila
paise aur power Ki Ladai Mein Ho Gaye Ek
dusre se Kai Shikva Gila
ab Ek dusre ko pareshani Mein Dekh Kar Dil
Mein Dard Nahin Hota
Sab Sath to rahte hain per Koi Humdard Nahin Hota
ab Apni Apni udaasi ke Kamre Bantey hue
hain
Dilon mein duriyan bahut hain Bhale Asaar Satey hue hain
ab gullak Nahin batuye Banakar Rakhe Jaate Hain
wo bhi Apni Apni secret Jagah Chhupa kar
rakhe Jaate Hain
Ki sikko ne smeta tha noton ne nishkashit
kiya
Kaun Kiska kitna hai Umran ne paribhashit
kiya
ab Jindagi ke imtihano Mein Koi Kisi Ki
madad bhi nahin karta
Udhariyan Itni badh chuki Hain Ki Ab Koi
Sauda nakad bhi nahin karta
Kai kam Ek dusre Ke bigade Hain Kai baten
Ek dusre ko Sunai Hain
ek dusre Ke Sar Bandhi Humne dheron Burai
Hain
Bade hone ki Ham Sab Ne Ye kimat chukaee
Hai
ye kimat chukaee hai.
By Priya
Comments