top of page

Breast Cancer

By Priya

My dear ex-breasts

achha hi hua jo tum chali gai ki ab m fr se so sakungi

pet k bal poori raat

bina takiye lgaye

ki ab nhi sahni pdegi mujhe bra ko pahnne me hone wali wo ghutan or preshani jiska andaza sirf ladkiyon ko hota h

nhi pdenge mere kandhon par stripes k wo nishan

jo off shoulder pahntey waqt dikha krte they

ab nhi rhegi mujhe fikr ki meri blue backless dress me se bra ki black stripes to nhi dikh

rh

achha hi hua jo tum chali gai

ki ab nhi hua krungi m uncomfortable jab meri tight top ko kuch nazren scan krti rha krengi

nhi smbhalna pdega mujhe baar baara kandhon se sarkata dupatta apna

ki chhupane ko ab kuch bacha hi nhi h ki ab net k suit me inner lgana must ho jaega

qki kya h na ki ab koi b bralet mujhe fit nhi aaegi

haan badlne honge apne sare blouses mujhe

or lani hongi inki jagah bina chunnaton wali kuch body hugging tops

ki kapde khreedey waqt nhi btana pdega mujhe size apna

achha hi hua jo tum chli gai

ki ab mujhe pta chla aurat ka nareetva sirf



uske shreer se hi hota h

uski mamta jo kisi b purush me honi lagbag namumkin h koi mayne nhi rkhti

agr wo apne bachhe ko doodh na pila ske uska nareetva tbhi poora hota h jab uski

body me perfect curves bne hon

aaj pta chla ki Nangoli devi ne tumhe tax me

kyun kaatkar de diya hoga

ki sbse bda tax to tumhi they

jise chhupane k liye b tax dena pdta tha

tumhe hi ghoortey the sab unke chehron se zyada

or tumhara size hi unki pahchan ban gya tha ki achha hi hua jo tum chali gai

ki ab m Sula sakungi kisi bachhe ko seeney

par apne

ki kisi ko gley lgane se pahle mujhe sochna

nhi pda krega

nhi hogi fikr exercise krte waqt b proper

fitted sports bra ki

nhi chhupana pdega mujhe jhukte waqt

cleavage apna

ki mere marne me ro lenge log mere b

seeney se lipatkar

haan achha hi hua jo tum chali gai.


By Priya




3 views1 comment

Recent Posts

See All

To Thou Who Love Me

By Ananya Anindita Jena In the dark times, when the moon doesn't shine You become the source of light.  When all hopes are lost You give...

Longing

By Sushmita Sadhu I travelled three leagues in search of your parable, Gathering dusk and doubt in this radiant shell. That chestnut bark...

ਜੇ

1 comentario

Obtuvo 0 de 5 estrellas.
Aún no hay calificaciones

Agrega una calificación
Priya
Priya
26 sept 2023
Obtuvo 5 de 5 estrellas.

🫡🫡🫡

Me gusta
bottom of page