By Kshitij Kapoor
Kaam karte karte i feel little hurt,
We rarely get credit for our good work,
Karte hai point out only for the mistakes,
Jaise dikhta ek kaala daag on a white shirt.
Complete kiya kaam to milta hai bas okay,
Increment ke naam pe milte hai bas dhoke,
Kisi wajah se agar reh jaye adhoora koi task,
To chhodta nhi beizzati ke koi bhi ye mauke.
Weekend par bhi kaam ke bojh ko he is imposing,
Calm hoke chutti ke liye pucho, to boss is ignoring,
Apne kaam ke liye to minute se pehle reply chahiye,
Khud kisi kaam se ping karo to, "i am busy in a meeting."
Delay hua target to sirf main answerable hu client ko,
"It was a joint effort", jab khud mehnat se achieve karo task ko,
Joining se pehle to, ye incentives, wo incentives,
Joining ke baad, reimbursements ke liye struggle karo mahino.
Resign karo to HR rone lagta hai,
Kuch der baad, khud ko afsoos hone lagta hai,
Lekin ruk jane ke liye maango jab thoda muavza,
"Let me see what i can do" kehke saala diplomatic banta hai.
Knowledge aur money ke liye joda tha job se wasta,
Khud ko fir se mazboot karu, na bacha koi ab rasta,
Chalo ab gulami karne ke liye tayar hona hai,
Oh! mere spanish client ka call aa gya, chalo Hasta la Vista!
By Kshitij Kapoor
Comments