By Yasha
dekh use nigaahen tham gayi
dum jo humne bhara to saanse bhar gayi
phool si nazuk kali hai wo
dekh jise har raah-guzar aanhein bharta hai
kaash ke wo kali humare gulistan mein khili hoti
dekh jise nigaahen tham gayi
dekh use kadam zameen ho gaye
raah ke kaante bhi phool lagne lage
faza ke aagosh mein hum bhi kahin kho gaye
tamanna hai ke use bhi apne aks mein utaare
falak ke sitare bhi saare be noor ho gaye
dekh jise kadam zameen ho gaye
dekh use hum bezubaan parinde ho gaye
alfaaz saare labon pe theher gaye
kehni thi jo baatein use
saamne aate
hi uske hum but ban gaye
alfaaz na sahi nazron ne bhi de diya dhokha
uske aage aankhon ka noor bhi kahin kho gaya
dekh jise hum bezubaan parinde ho gaye
*******************************************
By Yasha
Comments