By Virat Mehta
Is baar rasoi mein gaya to samay ki aanch par umr ubal rahi thi
Kuch zaayka laane ke liye masalon ki almari kholi to kayi choti dibbiyan padi thi
Ek dibbi kamai ki, jo khaali si lag rahi thi.. koi santushti ki daraar hai shaayad uske neeche
Ek dibbi mein phapoond lage hue kuch sapne, hasraten, kwaishen thi jinko phekne ka ab bhi dil nahi karta
Ek dibbi junoon ki thi, jisko soongkar bas ye tasalli kar li ki aaj bhi jawaani ki khushboo barkaraar hai
Lagaav ki dibbi labalab upar tak bharne ke baad thodi choo rahi thi, acha hua, mann ki cheetiyon ko thodi khuraakh mili
Lakh sarkane me baad bhi darr ki dibbi fir saamne aa jaati hai, na jaane kyun
Pyaar ki ek nayi dibbi khareedi hai, Roz nihaara jaata hai usko
Haath daalke peeche tatola to badi mushkil ke haath aayi ek dibbi.. uspe likha tha.. khushi.. khuli nahi.. lekin thodi bhaari thi. Kuch to tha usmein..
Astitva ki ek choti si dibbi thi.. kone mein dabi hui.. usko nikaala, saaf kiya aur bakaayda waapas rakh diya
Almari ka darwaza band karne pe dhyaan aaya ki ubalti umr khud hi masale daal leti hai
Mera kaam bas phoonk ke chuskiyan leni hai..
By Virat Mehta
Comments