top of page

Doori

Updated: Dec 2, 2022

By Kalp Raichura





Maine jahan bhi dekha, har manzar ke khayaal mein bas tu thi.

Farq bas itna hai ke, jo tu is shaam mein nahi to us shaam mein kyun thi?

Kya lagta hai mujhe dekhke, main khush hu? Haan khushi hai mujhe par uski wajah nahi hai tu.

Mazaq kar raha hu, wo kya haina jab koi aadat chhodna mushqil ho jaata hai, us aadat se door bhaag jaana chahiye.

Baht door

Itni doori thi tere mere darmiyan, kya batau, bataane jaunga to ek qaaynat lagegi,

Itna shhor hai mere andr, mera bass chalta to tujhse teri Khamoshi maang leta, par phir teri neend ka sauda manzur nahi mujhe.

Tu khush rahe, aabad rahe, jahan bhi rahe mujhe yaad rahe.

Teri aakhon se duniya nahi dekhi maine, teri aakhon se apna ishq dekhna chahta hu.

Par phir sochta hu, jaisa sochta hu waisa hi hoga, aur phir tera haal dekh ke, mera jo ye haal hai wo kaisa hoga. Rehne dete hai...



Tanha sadko pe kabhi saath hua karta tha, har ek din ki doori ka hisaab hua karta tha,

Ab jab faasle badh gaye to in raasto ko bhaapta hu, apne in do kadmon se un dooriyan ko naapta hu

Kya lagta hai, main khush hu?

Haan, khushi to hai par uski wajah tu nahi

Puraani baaton ko chalo todd dete hai, ye jo qisso ka pitaara haina usko kahi kisi tehkhaane mein chhod dete hai

Suqoon ke upar bann aayi hai ab

Keh diya jo kehna tha par....

Ye baat bhi adhuri reh gayi, meri aakhon se teri aakhon tak ek nazar ka faasla tha, phir bhi dekho kitni doori reh gayi.

Jab koi aadat na chhute tak bhaag jaata hu main, par khud se kabhi bhaag na paaya, jahan jahan gaya, tu mere naseeb ki parchaayi bankar mere saath chala aaya

Haan, nahi, kya pata

Itna to pata hai ki ab sawaalon ke jawaab nahi dhund raha main, na tujhe dhund raha hu, mil gaya hai mujhe sab kuch inn dooriyon mein.

Aur tujhe? Tujhe kya mila?

Ek baat to tay hai ki, accha hai jo tujhe main na mila, agar mil gaya hota to tere suqoon pe baat aa jaati, teri neend ka sauda karna manzur nahi mujhe.

Mat dhund unn baaton ko jinn baaton mein ab koi baat nahi, main nahi, tu nahi

By Kalp Raichura





12 views0 comments

Recent Posts

See All

My Antidote

Avarice

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page