top of page

Doshi Kaun? (A letter to god) (Covid Diaries)

Updated: Dec 2, 2022

By Kalp Raichura




Insaaniyat hai par insaan kahan hai?

Mandir pe taale lage hai, bhagwaan kahan hai?

Bas ab, bas bol diya hai, tere is banaaye hue jahaan mein ab jaan kahan hai.

Marz hi marz hai, dawa kya hai.

Ek baar aake puchh to sahi, ye hua kya hai?

Aasman mein taare thode zyada ho rahe hai, tujhe ye ajeeb nahi lagta?

Duaen bhejta hai ek baccha, tere mandir ki chaukhat pe bethke,

"Mujhe kuch saansein de de, mere ghar pe meri maa hai, uske liye le jaunga, apni mutthi mein samet ke."

Samshaan mein aag zyada hai, par kahan hai uss raakh ki pehchaan, jal raha hai masoom, par kya jal raha jai shaitaan?

Jo paap kare so bhoge, jo paap na kare wo bhi bhoge.

Ye tujhe ajeeb nahi lagta?

Majboori aur lachaari ka ye kaisa daur aaya hai, zinda to hai par, kal ab kala hai, aur aaj ke gale mein darr ki mala hai.

Koi tujhe dosh nahi de raha par jo doshi hai usko to hosh mein laa, karm dekh ke jaldi se koi faisla suna.


Yun hi chalta raha to, sarkaar aar paar kar degi, aasuon ki nadiyan bahegi jab ye teri peeth pe bhi vaar kar degi.

Dosh nahi de raha kisiko, jo samjh raha hu wo bata raha hu, nasamjh keh lo ya samjhdaar, ek baat jo bahr aane ko thi, aaj uss baat se tumhe milwa raha hu.

Praja bhi pakhandi, raja bhi pakhandi, mein bhi pakhandi aur tera mujhe pata nahi.

Par agar is baat ka tujhe bura laga hai to, teri galti nahi hai, baat to sach hai, galti karke maafi maangna theek nahi hai, par ye waqt galtiyan ginwaane ka nahi hai, ye waqt hai tere yahan hone ka.

Insaaniyat hai par insaan kahan hai?

Ek ek karke sab vilin ho rahe hai, kisi ki saans rukk gayi to kisi ki rokk di gayi.

Ye tujhe ajeeb nahi lagta?

Kisne haq diya unko, zindagi se khelne ka, kisne?

Raja hosh mein aaja, tu shayad behoshi mein hai, tujhe dosh nahi dunga, par waqt ho gaya hai.

Agar ab nahi to kab?

Kuch log kahenge, insaan hi insaan ko maar raha hai, raja aur bhagwaan to ek hi hai, wo hi to sabkuch sambhaal raha hai.

Chalo maana ke Laparwaah the kuch log, par adalat mein bhi laparwahi ki saza, saza-e-maut nahi hoti.

Aur jo log insaan ko bhagwaan bana dete hai, wo kisi ke nahi hote, un logo ke mandir badalte rehte hai.

To doshi kaun?

Wo jisne sabkuch dekhte hue bhi andekha kar diya, ya wo jiane aakhein band karli, ya wo jisne koshish kari par safal na hua.

Aaj mein bhi ek dua karta hu,

Jab ye sab khatam ho jaega tab koi to bachega, dua karta hu, jo bachega usko khud se bacha lena.


By Kalp Raichura




13 views0 comments

Recent Posts

See All

Hogwarts Letter

By Shivangi Jain To, All those who are still waiting for their Hogwarts Letter Dear, Life has always been a wonder to all those who have...

A Letter From Your Distant Love

By Naina Alana Mon beau, How are you doing? From the stories I hear in passing through our mutual friends, you seem to be enjoying your...

Comentários

Avaliado com 0 de 5 estrelas.
Ainda sem avaliações

Adicione uma avaliação
SIGN UP AND STAY UPDATED!

Thanks for submitting!

  • Grey Twitter Icon
  • Grey LinkedIn Icon
  • Grey Facebook Icon

© 2024 by Hashtag Kalakar

bottom of page