By Neeta Agarwal Doshi
Ek chuski chai ki keemat tum kya jaano coffee peene waale babu
Ek chai lover ke liye Ishwar ke Ashirwad jaisi hoti hai ek chuski chai
Chai premi ke hothon par chashni si mithas hoti hai ek chuski chai
Har chai premi ki rooh ko taro taza kar deti hai, ek chuski chai
Baarish ki shaam ho ya phir kadakti sardi ki subah
Pakodon ke saath ho ya phir saath ho ek achchi kitab
Akele mein piyo ya piyo kisi ke saath
Sau dawaoon se zyada asardar hoti hai ek chuski chai!
Chai chahe nukkad ki tapri ki ho ya raah chalte dhabe ki
Chai chahe ghar pe bani ho ya kisi five-star hotel mein
Chai chahe ghanto ubal kar bani ho ya phir minto mein
Chai ki patti branded ho ya unbranded
Chai to chai hoti hai janaab
Ubalte pani mein jab who gote lagati hai
Bilkul, Nishchal bhav se, khud berang hokar
Pani mein rang, swad aur Khushboo bikher deti hai
Adrak, elaichi aur masale ke saath bhi uski achchi yaari hai
Bina ghabraye dabaav mein bhi, pateele ke har kone mein
Beparvahi se, Kuch ithlati, kuch bal khati, jhoomti hui,
Swadanusar, Naye roop rang mein dhal jaati hai
Ant mein jab doodh dalta hai
Uska bhi dil khol kar Swagat karti hai
Phir Sabke mel Milap ka aisa sangam hota hai
Ki Chhalni se paar hoti chai
Apni purani pehchan peechche chor
Ek naya avatar le leti hai
Aur jab yeh naye avatar mein, hothon pe lagti hai
Peene wale ke jeevan ko sukoon se bhar deti hai
Ek chuski chai!
By Neeta Agarwal Doshi
Comments