By Kshitij Kapoor
Beete din aksar jab yaad aate hai,
Tab lamhe dimag ko daud lagwate hai,
Inki khushbu itni mehakti hai khali se mann mein,
Ki fatti jeb mein bhi paise nazar aate hai.
Aawaz gunjti hai ab in kamro mein,
Jahan kabhi furniture ka sailab tha,
Unfurnished si ab is zindagi mein,
Kabhi furnished ka bhi mohol tha.
Wo waqt bhi kaise kaise khwab dikhata tha,
Aasman mein parindon se guftgu karwata tha,
Duniya ke har mumkin chano ke jhaad chadwata tha,
Aur Sukoon kya hai, iska ehsaas dilwata tha.
Mukam kama ke itminaan sa nhi milta,
Jeb bhar gyi lekin dil bhara sa nhi lagta,
Khwaisho ki gullak ban gyi, magar dil fatichar sa hai,
Khalipan se ab mann ub chuka, ab dil furniture ka hai.
By Kshitij Kapoor
Comments