top of page

Hai Kisko Gumm Nahin

Updated: Sep 15, 2023

By Monika



Jisne bhi iss sansaar me daakhilaa paayaa hai

Kbhi katen to kbhi phoolon ki sej kamaayaa hai

Jo bhi khushi or aansun k iss chopad mein tikka hai,

Kabhi kuch jiita tou kabhi khud bikaa hai.

Yahi tou satya koi bhram nahi ,

H kisiko gumm nahin .!


Phoolon k jis guldaste se wo phoolkumari muskuraayi thi,

Un phoolon ne tuut te wqt kitni piddaa paayi thi .

Jis bardag ki chaanv me thake panthi aaraam farmate hain,

Wo vriksh bhi berahmi se aari se kaate jaate hain.

In bejubanon ke bhi tou drd kuch kum nahin,

Hai kisko gumm nahin..!


Jis hiran ki khubsurti par hum sab lalchaate hain,

Registaan ki trishna mein wo mriig pyaase marr jate hain.

Daane ki talash me jb chidiya mastt udaan bharti hai,

Kisi bhi pal shikar ho jane ka kaha vichaar wo krti h .

In pashu or pakshi ki chot ka bhi koi marhum nahin,

H kisiko gumm nahin,…!



Chand apni jis chandni par itna itraata hai,

Kon jane kis aag me jall who suraj usko chamkata hai.

Jis hiiire ko sir pr sajaye raja bhi iiithlaya hai,

Wo b tarashne ki hadd se gujarkar hi hiiira kahlaaya hai.

In nirjivon me bhi is reet ko thukraane ka dmm nahin,

Hai kisko gumm nahin…!


Aaj bhi who fuul bhawvre ko lalchate hain,

Ped apni chaaya mein dher pyaar lutaate hain.

Viprit paristhiti mein bhi naa bdla apne swabhaav ko,

Hum bhi kyun haavi hone de niraasha ke bhaav ko.

Hai pal kathor to vyaktitva humara bhi naram nahi ,

Hai kisko gumm nahin..!


Aaj bhi wo hiiiran apni kasturi ki mehak se hai bahla rahi,

Chidiya bhi nidarta se aakash me hawaaon ko sahla rahi.

Aakhiri sanson tak aram se na baithe ek shand h liye,

Fir hum kyun ladna chod de kismat ki pasand k liye.

Apni hi takdiron se ldne me koi sharm nahin,

Hai kisko gumm nahin…!


Aaj b suraj apni garmi ko hi bana rha pahchaan hai ,

Hiira b tou badha raha aaj bhi ungli ki shaan hai .

Ye b mushkil dor ko sah kr hi hai nikhre ,

Hum b in choti badhaaon se tut kr kyun bikhre.

Hai khud pr vishvas tou aankhen nmm nahin,

Hai kisko gumm nahin….!


By Monika



7 views1 comment

Recent Posts

See All

दरमियान।।...

By Abhimanyu Bakshi ज़िंदगी है फ़ुरसत-ओ-मसरूफ़ियत के दरमियान, मैं खड़ा हूँ तसव्वुर-ओ-असलियत के दरमियान। एक हसरत थी दोनों में राब्ता...

अनंत चक्र

By Shivam Nahar वो थक के रुक के टूट जाए, जब नकारा जाए जीवन में और बांध फूटने दे देह का, जो शांत पड़ा है इस मन में, बस डाल दे हथियार सभी,...

इंतज़ार

By Vanshika Rastogi तुम्हे शायद इतना याद कभी न किया होगा, जितना मैंने इस एक दिन में किया है। तेरी कमी खलेगी इस दिल को, मगर एक आस भी...

1 Comment

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
Rated 5 out of 5 stars.

Nice

Like
bottom of page