By Malik Shabanam Qayoom
Yun deakh k tumko
Nigahe thum si jati h
Na-jaane kyun kisi khawaab ki yaad aajati h
Ye masoom sa chehra aur andaz-e- nazar
Ye khawaabun pe pehra hy..... neeind be-asar
Hilte h lab jab
Machalta h dil tab
Ye khila h fool yan muskaan h teri
Ye mila h noor yan bhool h meri
Qareeb aa tujhe pass se yun mein deakhun
Band nigahun se tere dil ka asar mein seakhun
Ye had-e-musafat seakha kanha se
Kya gila h tujh ko sare janha se
Kaha tha mein ne tera vajood h vanha se
Noor ki khushbu hooti h janha se
Behta tha dariya java tha samandar
Yun lehru ka aana is hava k ander
Koonsi shifa h is dawa k ander
Batha h kinare pe tu deakhta h manzar
Door se milta h Kahi samandar Aasmaa-n se
Aa qareeb lejavun vahi is be-baadaan jahaz se
Magar rehna yehi h bade adab aur lehaaz se
By Malik Shabanam Qayoom
Comments