top of page

Ho Sakta Hai Kya???

By Navira Khan


This poem is for the feeling you get when you begin to like someone, but you hardly know them. You've never spoken to them, yet just seeing them from a distance brings you a sense of joy. Sometimes, this feeling is so strong that you wish you could approach them and ask something, but you cannot.

Ho Sakta Hai Kya???

Ho sakta hai kya?

Tum mujhe dekho aur phir nazrein chura lo

Ho sakta hai kya?

Tum bhi mere intezaar mein uss darwazein ko taanko

Ho sakta hai kya?

Tum bhi meri ek jhalak ke liye baar baar chauthi manzil tak aao

Ho sakta hai kya?

Kaam k bahaane tum mujhse mukhatib hona chaaho

Ho sakta hai kya?

Tumhara bhi dil dhadak uthein mehfil mein mere zikr per 

Ho sakta hai kya?

Mere deedar pe tumhari rooh muskuraayein

Ho sakta hai kya?

Ke tumhara dil bhi mujhse raabta karne ki zidd karein

Ho sakta hai kya?

Tumhara dimag meri tasveer tumhein baar baar deekhaye

Ho sakta hai kya?

Main tumhari pehli soch aur raat ka aakhri khayaal ban jau

Ho sakta hai kya?

Tumhare khwabon mein ham safar saath karein

Ho sakta hai kya?

Ke tum apna naaam sirf mere naam k saath likhna chaaho

Ho sakta hai kya?


By Navira Khan


1 view0 comments

Recent Posts

See All

Visitor

Not A War

Kommentarer

Betygsatt till 0 av 5 stjärnor.
Inga omdömen ännu

Lägg till ett betyg
bottom of page