By Aswita Shetty
Meine kaha tha khudse,
Ye kabhi nahi ho sakta,
Fir bhi tu kyu thukrata raha iss baat ko,
Ki wo tera kabhi nahi ho sakta..
Bohot koshish ki door jaane ki,
Bohot koshish ki ye ehsaar ko naa mehsoos karne ki,
Par har baar teri ek jhalak, teri wo hassi, teri baate, teri yaade,
Bas meri saari koshisho ko yu naa kamiyab sa kar deti thi..
Soch liya tha, ab andar hi andar aur ghut ghut ke aise jee nahi sakti,
Kyuki bas issi wajah se naa jaane kitne assumptions, kitni misunderstandings,
Kitne jhagde aur naa jaane kya kya,
Ho rahe the, tere aur mere beech…
Akhir tha bhi wo mera sabse kareeb hi…
Phir kyat ha, bas thaaan liya,
Ab sahi waqt, sahi moment aur sahi jagah dekhkar,
Apne DIL ke panno ko, uske saamne khol dungi..
Par doston, reality yak ahu zindagi,
Humare soch se ekdum alag hoti hai….
Bas galat waqt, galat moment aur galat jagah pe use sab kuch bata diyaa..
Kyunki ab aur chipaaya nahi jaa raha tha..
Ab galat cheezo ke results bhi galat hi honge..
Haa, usne mujhe naa keh diya..
Haa, uske DIL mein mere liye wo waale pyaar jaisa koi ehsaas hi nahi tha…
Uske baad ka waqt toh kya kahu,
Naa uske saath raha jaa raha tha, Naa uske bina…
Aage ki kahani toh badi lambi hai yaaro,
Kisi din aur sunaungi..
Par aaj ki baat karu,
Toh kahi na kahi khoyi si hu,
Kahi na kahi rukhi si hu,
Ussi galat jagah,
Ussi galat moment
Par tehri si hu…
Bas kahi se wapaas aakar,
Zor se gale lagakar,
Wo keh de,
Jo kabse sunna chahti hu….
Par mujhe ye bhi pata hai,
Ki ab aur rukhna befizoon hai…
Bas darr iss baat ka hai,
Jitna use pyaar kiya tha,
Jitna apne DIL ka hissa use diya tha,
Kya use zyada, Kabhi de paaungi kisiko?
By Aswita Shetty
Comments