By Deepanshu Sharma
Khaufnaak manzar aankhon mein basa hai
Khoon ka katra katra zameen par pada hai
Socha toh na tha ki ye sila milega
Meri gardan dhad se alag kar
Woh aaj chaurahe par khada hai
Mohabbat ka paath padhaya jise
Insaan hai tu yeh bataaya jise
Har darakht ko kaat kar darakht par pada hai
Insaan hi hai jo insaan se lada hai
Dharam-mazhab ki baat karte ho
Zara yeh batao yeh khoon zameen par kiska pada hai
Rang laal hai behki hui sabki chaal hai
Yeh hi insaan hai jo kar raha bawaal hai
By Deepanshu Sharma
Comments