By Hitesh Shahani
Jab dibba toh mera tha Khatam woh log kiya karte they Woh waqt yaad aata hai Jab Roz Mila karte they
Saale paanch minute bolke paanch ghante laga diya karte they Woh waqt yaad aata hai Jab Roz Mila karte they
Bhale hongi bohot galtiyaan unmein Par meri har galti sudhaarne ki koshish kiya karte they, Arey honge auron ke liye maut ke kunwein Mere liye toh meri zindagi hua karte they Woh waqt yaad aata hai Jab Roz Mila karte they
Mujhe pasand aayi ladki ko bina dekhe bhabhi bulaaya karte they,
Par usi ke saamne bohot beizzat kiya karte they Woh waqt yaad aata hai Jab Roz Mila karte they
Gharwalon se zyada unke saath raha karte they Baap ki daant ke baad unke paas royaa karte they Itne harami the saale, aise haal mein bhi hasa Diya karte they Woh waqt yaad aata hai Jab Roz Mila karte they
Aaj, Shayad main unke liye khaas nahi hu, Kaafi aise hain jinke ab saath nahi hu, Yaar kehte the jinko, ab unko yaad nahi hu Woh waqt yaad aata hai Jab Roz Mila karte they...... Dost jaise bhi ho, Unke bina koi kahaani nahi hoti Kahani ban bhi jaaye Sunaane mein suhaani nahi hoti Saale yaadon ki aisi kitaab hai , Kitna bhi padhlo, kabhi puraani nai hoti
By Hitesh Shahani
Best!
Wah! Wah! Kya baat hai ❤️
Ekdam Dil ko choo liyaa ♥️
Such a Lovely Piece !!!!
Heart touching poem ❤️❤️