By Shivam Yadav
Jo aaj guzra hun main tere wahi purane ghar se
Nazrein mil na jaaye meri kahin teri nazar se
Dekh jhuki meri palkein tujhe dekhne ke dar se
Tuta Bikhra tha jo dil tujhe awaaz de andar se
maana mile honge kayi mere jaise aashiq hazaar
Lutate honge tujhpe dil kehte honge karte pyaar
jo aaye milne toh saja dun main sawalon ka bazaar
kiya tune kyun barbaad tujhse puchun baar baar
dafna ke dil mera jo karra saalon se intezaar
shayad ussi ka hisaab aaj lene aaya hun
pata hai mujhko ki mujhe tu ab dekhna nhi chahti
fir bhi teri hi gali mein tujhse milne aaya hun
main milne aaya hun
aaj milne aaya hun
mera dil..
tujhe aawaz de andar se
tujhe pukarne ko hai
kaise nikla yeh kabar se
tujhse hi tha mera jahaan
tujhme hi tha mera sukoon
seene me pagalpan tera
aur sar pe tera hi junoon
kyun itni bheed me bhi main
ab akela khada hun
sochun main tere jaise ke liye
kabhi khudse bhi lada hun
par khudse ladh ke bhi main
tujhse ladh nhi paaya
darta tha main ki kahin dur
ho naa jaaye tera saaya
lagta tha jaise ki ek din sab kuch
theek ho jaayega
tu kyun hoga mujhse durr
jab nazdeek ho jaayega
saare dekhe maine raste
saare dhunde maine mod
jahan pehli dafa mili tu
jahan pe gyi chhod
par fir bhi man ko mere
koi tasalli na mili
jahan pe thama mera haath
ab woh galli na mili
jaata main firse ek baar
bolun tu baith mere paas
fir tu uske baad kabhi mujhe
akeli na mili
jo mil bhi jaati mujhe
toh main tujhse puch kya yeh paata
ki tera dil bhi kaise
bin meri dhadkan ke reh paata
tu kehti chhod de mujhe..
itna aasan hai kya
tere liye hoga
mere liye nahin
kaise main chhodun tujhe
aur tujhe jaane dun
teri yaadein jo jodi khudse
kaise bhulaane dun
kaise samjhaun dil ko
kitne naye bahaane dun
tune naa ki thodi bhi der mujhko bhulane me
main guzarne teri yaad me zamaane dun
pta nhi aaj yeh kaisi zid pe ada hun main
tujhse puchne wahi sawaal tere samne khada hun main
bataun tumhe ki kami nahi hai duniya mein humpe bhi marne walon ki
jitna tumhe karte hain usse bhi jyada mohabbat karne walon ki
jab apna dil tere peeche main haar pada tha
tera pyaar kitna tha pata nhi par tujhse aitbaar bada tha
aankhon me teri muskaan ka ek armaan sajaya tha
teri khushi me main shaamil tera har gham chhupaya tha
aaj jaane ki zid karti ho meri zindagi se, kaise main tumhe bhulaunga
tum toh chali jaaogi mujhe chhod ke, main tumhari yaad liye kahan jaaunga
fir bhi tumhe jaana hai toh jaa sakti ho, magar yeh yaad rakhna
mujhe bhulane ki jitni tum koshish karogi main utna hi yaad tumhe baar baar aaunga
By Shivam Yadav
Heart touching ♥️
Most of us can relate this...........
Rula diya bhai, kya likha hai!🥺❤️🔥