By Arnav Singhal
is zindagi ke safar pe
tootenge bohot se sapne
jis manzil ko paane chala he
us raastein kho denge kuch sathi apne
apno ko vilaap ke sath alvida karke
kuch balidaan sabko hi dene padte he
apne man ki aashankaon se darke
kuch aasun sabhi ko bahane padte he
par kuch kathnaiyan ro ke suljha do
dukh aur dard ke sath bhi seekho jeena
baant ke gum ko adheen kardo
muskurahat ke sath rakho apne man ki reena
dil pe ek theeki si chubhan mehsoos hoti he
jab apni sabse keemti khawaishein kharch hoti he
man ki shanti rat ko rona sab zahir he
bas sar jhuka aur kaam kar tu sahir he
mehnat chod de apne andar ki dridata pe
todha sa hasde ya bas muskura de
dil ko udda ke lejaon unn lambi vadioyo ke beech yaha to woh hojayega fanna
iss duniya ki khwaishon ke bojh ko jhelne ke liye wo nahi bana
By Arnav Singhal
Comments