top of page

Kirdaar

Updated: Sep 16, 2023

By Yukti Bhandari


Uff ye Kirdaar…

Jeevan anubhavon se bani ek seedhi hi toh hai…

Sambhal – sambhal k chal sake jo koi…

Toh khoobsoorat safar ki peedhi bani rehti hai…

Insaan is rangmanch mai , na jaane

Har din kitne kirdaar ka mukhauta pehne khada hai..

Zarooraton ne apne chain k hisab se …

Din ko raat, or raat ko din bana daala…




Lafzon ki cashni mai sawal kuch yun basein hai ,

Jaise …

Mere hi gale lag kar , meri hi shikayat karne ko aayein hai...

Jis se mohoobat humne toot kar ki thi kabhi…

Mujse hi bichad kar …

Aaj meri hi khabar lene ko aayein hai…

Uff Ye kirdaar…


By Yukti Bhandari





5 views0 comments

Recent Posts

See All

Longing

By Sushmita Sadhu I travelled three leagues in search of your parable, Gathering dusk and doubt in this radiant shell. That chestnut bark...

ਜੇ

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page