By Hitesh Shahani
Meri kahaani, Kitaab woh thi Mera ek haseen Khwaab woh thi Jo dhundhta tha, main hardam Mere Dil ka, Pata woh thi
Socha ke usko ,Jaake batau Par Kya Pata, Kyun bol na paaun Haal ye Dil ka, Kaise sunau Tujhko Jo dekhun, Sab bhul jaaun
Sach bol aaya, Sazaa toh hogi Par woh mile toh , Qubool hogi Dil chhod aaya, Wajah woh thi Jo dhundhta tha , Kitaab woh thi
Naa kuch pata, Hua kaise
Tujhmein Mera, अक्स dikhe Kitna noor teri aankhon mein Aankhon mein woh chaand dikhe
Qismat bhi meri , Hairaan hogi Khuda ka mujhko , Inaam woh thi Khaami Kya dhundhu ,bedaag woh thi Chamki thi duniya, Chiraag woh thi
Sab छूटा tab, tu Paas tha Meri manzil ka, tu tha Raasta Mujhe yaad hai , हर woh jhalak Jab घबराके , Tujhe ताकता
ताकते jisko, Chehra woh thi कांटे duniya, Gulaab woh thi Khaami Kya dhundhu, bedaag woh thi Chamki thi duniya, Chiraag woh thi
By Hitesh Shahani
Kya baat… kya baat.🫡
Zabardast😍😍
Amazing one!
Feels like my own story!
Bhai!!😍😍