top of page

Maa, Tumhare Jaane Ke Baad

By Aditya Kumar


Ab na koi number hai, na koi pata.Agar mai tumhe chitthi likhun maa, tum padhogi?


Suno, maa, apne sirhane pe takiye ke paas rakh deta hun. Meri neend mei aake padh lena, padhogi na Maa? Ho sake to mera sir sehla dena aaj kal bada dukhta hai.

Chitthi mei tumhe happy birthday likha hai, aur likha hai bahut kuch...



***

Maa pe Maa ke liye

Ek kavita likhi Tab

Jab maa thi Maa ne kavita

Apne aanchal mei piro kar Use khone se bacha liya

Wo kavita behad kan bhar thi Maa pe

Maa ke liye


Kavita nahi likhni chahiye Koshish bhi nahi karni chahiye Maa khud kavita hai

Suraj ki kiranein tod kar Saiwayaan bana deti hai Roti mei ghee namak laga chand uga deti hai

Hawa paani aansu chu kar

Pyaar bana deti hai Koi hai kya

Jo sunta ho Kavitaayen ya arziyaan Kavitaayen

Le le


Meri saari ki saari


Bus wo aanchal lauta de?





***


Kal anayas hi aankhen behne lage.Kosish ki kuch dekh lun kuch padh lun...par ineh nahi rukna tha.Behte behte neend mei doob gaye aur phir subah ke tat tak.

Ye nayi subah thi.Mere liye bahut hi nayi kyuki is subah maa ka phone nahi aana tha, jo har naye saal ke subah aata tha.

Maa ka phone isliye kyuki aas paas ki saari yaadon mei mai ghar mei nahi hun.Terah saal.Terah saal se mai ghar se bahar hun.Maa ka janmdin bhi terah tarik hai.Maa ke janmdin pe yaa mere janmdin pe mai maa ke paas nahi hun.Sayad theek se mai ghar pe maa ke paas reh sakun wo din bhi terah hi hongey.


School ke dino mei mai jab so ke jaagta toh dubara jaakar maa ki godh mei sir rakh kar so jaata, tab jaake meri neend poori hoti thi.Aisa lag raha hai jaise terah varson se mai jaaga hun.

Jab bhi ghar jaata maa ki koshish hoti ki kitna kuch khila de mujhe, na swastha hote hue bhi."Mujhe kuch nahi hoga" maa hamesha kehti thi aur mai nidar ghar se chala jaata tha. Pichli baar ki surgery mei bhi maa ne yahi kaha tha aur mere darr ko harr liya tha.Maa nahi gayi.Ruki thi.Doctor ke 3-4 mahine ke samay ko 2 saal tak roki rahin.Hamare liye.Mere liye.Mere ghar lautne ke liye.Phir achaanak maa chali gayi, mujhe ghar lautne ka mauka hi na diya.Ab kabhi ghar laut na paunga.


Terah varsh peeche jaa sakta toh ghar se kabhi na jaata.Paschataap ko na bhookh lagti hai, naa neend aati hai.Paschataap ke aagey saare dukh farebi lagte hain.


Pata nahi ye sab yahan kyu likh raha hun.. Aankhen beh chuki hai aur uski jagah pyaar ne le li hai.Ab maa aankhon mei rehti hai.


***

Bahut kuch tha karne ko - itni saari kitaabein, itni filmein, itne jagah the jahan jaana tha - itna kuch ki lagta neend ek do ghante mei poori jaati toh achha hota - Haan bahut kuch - itne dost, itne sapne...

(...en sab ke beech maa ka phone bhi tha...jo kabhi bhi mere itne kuch mei kisi tarah samay cheen ye pooch hi leta ki khana theek se khaya us nahi, sabzi aur fal jyaada khana, achhi aur usse bhi zaruri sachhi neend poori karna...)


Mai neend ka bahut bada fan kabhi na tha.Jis subah maa so gayin, kabhi na uthne ke liye, us raat mujhe badi neend aa rahi thi.Us raat maa ko behad dard tha.Mai aadhe ghante deh jaane ke baad thithak ke uth jaata aur phone lagata ghar pe ki dard kuch kam hua ya nahi.

Maa jawab nahi de paati.


Subah subah bhai ne phone kiya ghar aa jaao.Ghar pahunchne ka doosra Sabse tez tarika hawaijahaz hai jo mere saher ke liye nhi udti.Mai maa ke chale jaane ke nau ghante baad ghar pahucha.Ye nau ghante meri zindagi ke gujaare Sabse lambe aur sabse muskil waqt the.Aur Sabse akela bhi.Aur tab mujhe neend nahi aa rahi thi.


Mai aksar neend dhundhta hun ab.Neend mujhe nahi dhundhti.Neend dukh ke liye ek kaali chadar le aati hai jiske neeche zindagi chup chaap sisak sake aur kisi ko pata na chale.

(...pehla sabse tez tarika ghar pahuchne ka Maa ka phone tha...)



By Aditya Kumar




19 views0 comments

Recent Posts

See All

Wisp

Lament

Comentarios

Obtuvo 0 de 5 estrellas.
Aún no hay calificaciones

Agrega una calificación
SIGN UP AND STAY UPDATED!

Thanks for submitting!

  • Grey Twitter Icon
  • Grey LinkedIn Icon
  • Grey Facebook Icon

© 2024 by Hashtag Kalakar

bottom of page