By Laksh Panwar
Mai ek bal mazdoor
Kisi dukan pai chai uthata hua ,
kisi ke ghar pr bartan saaf karta hua ,
kahi sadko pai bheek mangta hua ,
kabhi factoriyo mai kaam karta hua
Meri umar toh school jaane ki hai pr mai yeah chote mote kam karke apna ghar ka bada banta hu or apna ghar chalata hu .
Mujhe toh yeah sab accha lagta hai jinke ghar mai kaam karta hu voh mujhe padhate bhi hai mera khyaal bhi rakhte hai apne bachon ki tarah , aur mai usi mai khush ho jata hu.
Na mujhe pata hai na mujhe koyi batata mere setho ke pyaar ke piche chupe paapo ko mai iss gareebi mai nahi dekh pata
Mana meri kuch majbooriya hai ghar pr do vakt ki roti aur maa ko dilani chudiya hai
Mere maa baap bhi baaki maa baapo jitna hi mujhe pyaar karte hai jab mai unhe apne kamaye huye paise deta hu toh shabaash kehte hai
Vaise Auro ki tarah mai school nahi jata hu
Mai chota hoke bhi bada ho gaya hu
Abh mai kamane jata hu
By Laksh Panwar
Commenti