By Neeta Agarwal Doshi
Ka se kahoon mann ki yeh peer
Mujh Jaison ki yahan hai bheed
Gunaah mera kuch na tha
Bachpan se jawaani ka safar to tay karna hi tha
Aur jaisa ki hota hai bachpan mein
Main bhi thi madmast apne tan mann mein
Socha na tha ki yeh safar hoga itna kathin
Zamaane ki burri nazar se mach jaayegi ghinn
Kashmakash mein hoon ki shukriya karoon
Ki jo hua so bahut tha kam
Ya phir jitna hua uska aakrosh karoon
Kyunki who bhi deta to hai gham
Burra sapna bankar wah pal yaad dilaata hai
Main bhi ki is ladai mein mera bhi naam jud jaata hai!
By Neeta Agarwal Doshi
תגובות