By Saurav Kumar Jha
Maine dekha hai shantipriya dharmon ke dange hote huwe,
Maine dekha hai kisike pyar ko kisi aur ka hote huwe,
Maine dekha hai logo ko jaat ke naam par ek dusre ko kaatte huwe,
Maine dekha hai bhookhi maa ko apni roti 4 bachon me baatte huwe,
Maine dekha hai gareeb ki roti chheenne wale insaan ko,
Maine dekha hai kabhi na milne wale bhagwan ko,
Maine dekha hai kisiko ansuo se pet bharte huwe,
Maine dekha hai mazdooro ko sadak pe marte huwe,
Sab dekh kar andekha karna hi toh humari aadat hai,
Ye sab jaan kar bhi andha banna hi toh asli naatak hai,
Yaha har insaan ke kayi chehre hote hai,
Yaha logon ke raaz samandar se bhi gehre hote hai
Hum royenge shok manayenge,
Mombattiya leke sadkon pe aayenge,
Sab theek ho jaye yehi dua manayenge,
Bas kabhi zarurat pade na humari isliye hum har dam maun ho jayenge
By Saurav Kumar Jha
Comentários