top of page

Marz-e-Qalb

By Shaikh Mohd Gaus Aminuddin


Ashiq hazar hai lekin koi parwana nahi

Jo hamari aag me jal ke fana hona samjhe sahi


Tabassum ke peeche khanjar chupaya tha kabhi

Katl karke Mera janaza usne padha, koi sharm nahi


Aaj bhi kabr pe ake haskar mera mehboob ye bole

Kya karoge fir Ishq ya samjhao firse abhi?



Kyuki,


Jawab pe palti zaban yuhi alfaz nikle

Sambhal kar ishq kariyo hosh ye be havaas nikle


Na fida humpar kabhi dil o Jan se koi hua

Bus jism faroshi ka mai saman hua


Hamari mahhobat ki gaherai ko samjhe kon 

Husnparast bazar me schche dil ko mole kon


Chaha tha jise jaan se wahi dil ko tod gaye

Sajaya jinko palko pe, nigaho me ansu vo chodh gaye


Mahobbat ke pyase ne ishq ka dariya baha diya 

aur vo be qadar usme tair kar apni manzil ko ho liya


Kiya kya hamare liye, aheshanfaramosh poochh gaya

Qurban karke dil aur duniya main khamosh rah gaya


By Shaikh Mohd Gaus Aminuddin


0 views0 comments

Recent Posts

See All

Visitor

Not A War

Commentaires

Noté 0 étoile sur 5.
Les commentaires n'ont pas pu être chargés.
Il semble qu'un problème technique est survenu. Veuillez essayer de vous reconnecter ou d'actualiser la page.
bottom of page