By Priya
jB kabhi mujhe lagta h k mere ander ka shor ab khtm ho gya h
theek tbhi uthne lgti hn samandar me laharen
cheekhne lgti h mere ander ki shanti sannata bankar mere hi kano me
or chubhne lgti h mere hi chehre ki chamak meri hi aankhon me
aur iss chamak se chaundhiya kr bhar aati hn meri aankhen waqt bewaqt wazah bina wazah
or dheere dheere ye shor itna badh jata h ki mujhe sunai nhi dene lgta fr bahar ka kuch b band ho jate hn ummidon k sare rastey sajdon me jhukane ko sar nhi hota
ibaddat ne uthane ko hath nhi hote shayad mujhe meri hi nazar lag jati h ya shayad abhi
jsa ki mujhe lagta h ki m poori tarah shant ho gai hun ... nhi hui hun
abhi b baki hn mujhme meri hi kai
parchhaiyan
abhi b baki hn mujhme mere hi kai qirdar or un sb parchhaiyon ko mitane ko mujhe apne ander ka diya jlana hoga
un sb qirdaron ko milakar mujhe fr se m banna hoga
ki ander ki shanti bahar ka shor khtm krne se nhi aayegi
mujhe dbana nhi chup krana hoga apne ander ka shor
mujhe chhupani nhi saaf krni hongi apni sari parchhaiyan
mujhe bhagna nhi samna krna hoga khud se hi
khud ko hu hrakar khud ko hi jeetna hoga mujhe apne ander ka shor khtm krna hi hoga mujhe apne ander ka shor khtm krna hi hoga.
By Priya
Wonderful poem...excellent...