By Ishika Kachhwaha
Mir,
Tumhare sheher me mohabatton ke gul udte hai,
Jahaan kadam milte hai, wahaan qafan milte hai |
Jo na ho uski kyon ho arzu?
Ye jazba-e-Ishq bhi, hum tumhi se rakhte hai |
Likhe ho Mir tum chahe jis kisi ke liye,
Par kisi aur ke liye nahi, Hum khudi ke liye likhte hai |
Zamaano baad hai shayar hum bhi issi dilli me,
Zamaano baad bhi yaha shayar, qisse waise hi likhte hai |
Har kisi ko kahaan adaa rehmat-e-mehfil, Iqraar-e-khuda, nazar-e-riha,
Daftar jaate hai, hum kitaabo mein raat me likhte hai |
Mir, gardishein puri hui, ab rok de syaahi?
Likne likhne me hum, murjhaen gulo ke masle likh dete hai |
Khushnaseeb ho ki aana mat iss dilli me,
Yaha ab bhi mehboob, waise hi pathhar dil rakhte hai |
By Ishika Kachhwaha
Comments