By Saurav Kumar Jha
Mita diye wo nazm jo kabhi likhe the tere liye,
Jala diye wo khat jo kabhi padhe the tere liye,
Aur tod di wo gulab jo kabhi tumhe dena tha,
Aur baha di wo sharab jo tere gham me kabhi peena tha
Kyu saari umr khuda ko khudse khafa hote dekha,
Bhari mehfil me apne ishq ko Zabha hote dekha,
Ki dete the har ghadi jinke wafa ki misaale hum,
Kyu us wafa ko hi sare aam humne zafa hote dekha
Arre saap lot jata hai seene pe aise uth kar na jaya karo,
Sunte rahe har ghadi meri kabhi apni baatein bhi manwaya karo,
Maana parda karna acha hai is Zamane se,
Meri ek baat mano tum…jab milne aao chehra dhak kar na aaya karo.
By Saurav Kumar Jha
Kommentare