By Tanishq Srivastava
Pehle se they kafi zakhm tune diye aur kyu?
Pehla tha yeh janam fir bhi lagi daud kyu?
Teri hi wajah se aaj pakdi hai kalam,
Inhe lagta muje shayarion ka shauk kyu?
Chehra tera dhundla ho rakha meri yaad mei
Jaana reth bhi rahi fisal mere haath se
Dil aur dimaag ki kashmakash mei tha baitha
Hogya hai waqt, ab aaja mere paas mei
Baith ja mere paas haath mera thaam le
Sapno me aati roz kehti mera naam le
Aaine se fariyaad kyu hai tumhe jaana
Aakhon me dekh meri khud ko yu sawaar le
Tere baalon ka vo juda aaj bhi hai yaad
Yaad khule baalon me bhi lgti bemisaal
Saal kitne guzaare hamne jaana sath
Saath janmo ka wada hua yun raakh
Jo they silsile unmein faqat firaaq hai baqi
Woh raah jiski manzil-e-ishq hai maafi
Phir bhi main kahin apne ghumon mein zinda
Ke har saans mein tere aane ki umeed hai kaafi
Jo khaar khaa rahe meri chaadar-e-mohabbat
Un phoolon ka saya bhi aaya na meri dastak mein,
Woh shauk tha jo zakhmon se sajta gaya magar,
Ek khwab jo mera tha wafa na hua haqeeqat mein
Dard e dil karde bayan din bhar sulagte nahi
Tumse shifa ka gila hai hum galat bhi sahi
Tere baad mohabbat humse hogi na kabhi
Inn gehre zakhmon ki jaana dawa bhi tu hi
Laut ke aana ho toh swaagat hai tumhra
Jab tak hain saasein toh milna hai dobara
Agr muqaddar mei fannah hona hi likha
Toh mar ke amar kardu pyaar yeh hamara
By Tanishq Srivastava
Comments