By Saurav Kumar Jha
Na naata mera maszido se na naata mera khuda se hai,
Na naata mera is Jahan se bas naata teri wafa se hai,
Kehte hai Qubool hoti hai har dua tumhari jo parde me tum padhte ho,
Na naata tere husn se mera bas naata teri aankho se padhi hui dua se hai
Na namaz janu main na janu sajda karna,
Na janu rakhne roze na janu tasbeeh padhna,
Aur woozoo karna seekh rahe hai hum unki aankho se,
Qubool ab hoti hai humari bhi dua jabse hai seekha unke naam ki dua padhna,
Sapne me jo socha tha wo toh use bhi sundar thi,
Aur dhunda aksh jiska saare zamane me wo toh dil ke hi andar thi,
Aur kya badnaam karega ye zamana mujhe beech toofano me doob jane se,
Dubaya hai uski aankho ne na hi kisi jam-e-sharab ne,
Main dhundh raha tha tinke ka sahara wo toh neela samandar thi.
By Saurav Kumar Jha
Comentarios