By Ashish Anand
Yah hai ek aesi duniya,
Basti isme anokhi prajatiyan|
Manushya jal vayu mitti vriksh pasu pakshiyan,
Sabki hain apni apni khubiyan||
Kuchh hai upyogi gunkari,
Kuchh ko jhailni padhati nakari|
Sabhi hain anmol aur zaroori,
Taki surakshit aur santulit rahe prakriti hamari||
Sabhi prajatiyan ki hai apni khubsurti,
Jo vatavaran ka man lobhati|
Hain sabki apni apni visheshtaen,
Insani fitrat jinko samajh na Paye||
Rahe sabhi pyar se prakriti ke sath,
Pradaan honge kayi gunkari labh|
Nahin pasand ise koi cher char,
Varna hoga vinash sara sansar||
Prakritik jivan ki rachna,
Kudrat ke liye hai aashirwad|
Uski khubsurti sadev rahe,
Sabhi jeev jantu iske hakdaar||
Dashako tah prakriti rahi anjaan,
Manushya jaese kar raha iska apmaan|
Manav nahin samjha mahatva,
Nashta kar raha iska astitua||
Hamne avashyakta anusar kiya istemal,
Nahin samjha iske dil ka haal|
Dekha hamara munafa nuksaan,
Or ban gaya vatavaran bejaan||
Prakriti ho rahi pradushit,
Vriksh jeev jantu kar rahe trahi|
Agar abhi nahin kiya surakshit,
Tu veehin ho haenge sare prani||
Prakriti de rahi sandesh,
Sambhalne ko apne kadam|
Nahin agar mana manushya,
Prakriti ho jayegi khatam||
By Ashish Anand
Comments