By Arnav Singhal
kuch kuch hota he me pehli bar suna tha
jab rahul ne ms.braganza ko bola tha
tab tak lagta ki dosti aur pyaar to bohot alag cheezein he
par tab to tha bhi me sirf 10 hi saal ka
aur ladkiyo se interaction utna hi tha ki jab teacher punish karke ek ladki ke sath bitha deti thi
school me to kuch aesa hi chala sab
padhai ne aese daboch ke rakha tha ki kaha ki so called "game" develop karte
par jab itna waqt padhai ko diya to kuch haasil bhi hua
mbbs me admission
jab college gaye to ye to than liya tha ki yaha sirf padhai to nahi karenge
ab itne hormones padh liye the kuch andar bhi to the jo bahar aane ke liye betaab bethe the
kuch rishte bane kuch toote
magar halaat aese the ki wo rishte me nibha nahi paya
par sath hi sath ek dosti kaafi special hogayi thi
hum class me sath bethte the
movies sath dekhte the
aur mujhe to pata tha ki mera din to uske bina nahi guzarta tha
par fir wohi socha dosti hi to he
bohot achi dosti
pyaar todhi he yeh
pyaar to humne kara he pehle bhi aesa todhi na hota he
usme itna comfort itni masti todhi hoti he
wo to todha sankoch se todha saleeke se hota he
ye konsi nayi feeling he jiska ehsaas pehli bar hua he
kismat kabhi kabhi aese situations me dalti he jo bohot dukh deti he depress kardeti he
par zaroori hoti he
college ki summer vacation hui or 2 mahine ke liye hum alag
unn 2 mahine me mene shayad pyaar ko aur ache se jana aur kareeb se mehsoos kiya
sheher hamare door the par phone pe hui bateein hume aur kareeb larhi thi
60 din mene kese hi nikale uske phone ka hi intezar rehta tha bas aur jis din bat nahi hui wo din bekar
dimag me sirf ye hi chalta rehta tha ki
kya bol du
kya is itni keemti dosti me koi adchan to nahi aajaegi
aakhir he dosti mere liye bohot zyada important thi iss pyaar se
par college khula hum aur pas aaye
mene bataya usse bohot miss kiya mene tujhe
usne bola mene aur bhi zyada
dosti badi ya shayad pyaar
hath pakadne laggye the hum
uska sir aksar me kandhe pe hi rehta tha
sab dost bhi chidane lag hi gaye the
aur ek shaam aa hi gayi
mene bhi soch liya tha aaj to bol hi dunga
hum bethe the marine drive pe
uska sar wahi tha mere kandhe pe tha
aur usne bola suno mujhe pyaar hogya he
mere to andar jese ek electric shock laggya
aur jaldi se bola mujhe bhi kuch batana he tumhe
usne bohot heraan hoke bola kyaaa
mene bola pehle tum
kaafi bar dhoke khake patience to seekh lia tha mene
usne bola ye ek bohot personal cheez he aur ye zyada logo ko pata nahi chalna chaiye
tujhpe trust karrhi hu rahul
me aur betaab horha tha bas apna hi naam sun ne ke liye
usne bola uski school ki dost Tina se
jo uski best friend thi
aur mene ek hi second me jitne bhi emotions padhe the saare mehsoos karliye
aur bilkul shocked sa face bana liya
usne kaha tu bhi judge karega kya rahul ab to legal bhi hogya he
me kisi tara normal hua aur ek smile ke sath usse bola im happy for you
fir usne pucha tum batao tum kya bataane wale the
aur mene kaha kuch kuch hota he anjali tum nahi samjhogi
By Arnav Singhal
Comments