Ram Ka Insaf
- hashtagkalakar
- Jul 17, 2023
- 2 min read
By Priya
M Maryada Purushottam hun m iss mamle
ka vadi hun
agni-pareeksha karwakr b m apni patni chhodne ka apradhi hun.
mne kab kaha tha Sita se k mere sath chley mne Laxman se nhi kaha k Lanka-yudhh me mere sath ladey
sone ka hiran dekh k Sita ka mann ho dola
tha
'sone ka hiran kahan hota h 'mne kai baar
Sita ko bola tha
mere lakh mna krne k baad b usne wahi cheez mangi thi
Laxman k na kahne par b usne seema langhi
thi
m to use dhoondhne ki khatir jungle jungle
bhatka tha
na ann ka ek dana chakha na hi pani ko gatka tha
sirf Sita ko pane ki khatir mne chhupkar b baan chlaye they
samandar ko hath jodkar Ramsetu bnaye they
Sita ko dhoondhne me mne ek din b na zaya kiya
bhaley wo mujhse door rhi par mne usey na paraya kiya
Rawan k shanti- peastav thukrane par mne turant Lanka par chadhai ki
sam-dam-dandh-bhed lgakar Rawan se
ladai ki
Sita ko s-samman m apne sath Ayodhya laya tha
par hm dono ne bhagya me kuch or hi likhwaya tha
ab kuch to log kahenge hi logon ka kaam to kahna tha
par m to raja tha mujhe b prjaa k sath hi rhna tha
mere lakh mnaney par b wo nhi maney they agni-pareeksha kasam duhai unke liye sb jhootey bahaney they
ab m baar baar Sita ko to aag me nhi bhej
skta tha
koi ek chidiya ho to bhedun m sari prjaa ko
to nhi bhed skta tha
Sita k samman ki khatir mne Sita ka hi
bahishkar kiya
fr b sansar ne ulta mujh pr hi palatwar kiya m to Sita ko sapne me b nhi chhodna chahta tha
hmare beech jo prem ka dhaga tha usey nhi todna chahta tha
par mujhe pita ko diya hua wo vachan b to nibhana tha
ab m raja tha to raja ka karam b to nibhana
tha
mujhse kyun nhi Sita ne agni-parweksha krai thi
mahal chhodne se pahle usne mujhse kyun
nhi kri ladai thi
wo b mujhse apne liye insaf ki guhar kr skti
thi
m raja tha to pati-roop me mujhe b
gunahgaar kar skti thi
usne mujh raja se apne pati ki shikayat kyun
nhi ki
Sita ko apni safai dene ki kisi ne hidayat kyun nhi di
usey ek pati ne nhi raja ne bahar nikala tha pati-roop me to mne b piya zahar ka pyala
tha
lanka ko jeetkar b m Sita-viyog me jla hun mujhe b kai gumon ne khaya h bhley raja k ghr pala hun
m to Sita ko bhej Kar b bura hun na bhejta
to b bura hi tha
china to mere seeney par wse b chhura hi
tha isiliye usey pass na rkhkar mne duniya ko diya hwala tha
Sita ki laaj bachane ko hi mne Sita ko bahar nikala tha
ab m bura hun to bura sahi Sita to pak saaf h
ye Ramrajya ki baat thi yahi Ram ka insaf h yahi Ram ka insaf h.
By Priya
I have never heard such point of view ever on this topic
seriously
win my