By Farhaad Hussain Ayubi
Ae Farhaad musalsal jazbaato ko bayaan kar waqt zaaya na kar,
Patther par peyshani maar kar khud ko taqlif pahunchaya na kar….
Nasamajh kehta hai ek din patther ko chirr dunga
Aaye jo bhi mushkil apne hathon ki lakeer banunga…
Koi samjhaaye ise yun asaan nahi hai sab kuch paana
Raaho mein hote hai biche kaante mushkil hota hai chal paana…
Ziddi kehta hai ab jo ho, in raaho par nikal chuka huu
Musafir huu kaanto se nahi darta, ab manzil ko chal chuka huu…
Kambakht ziddi na ban, ek din tu pachtayga
Has rahe hoge tere apne, tu aankhein na utha paayga….
In raston ko khud chuna hai, naa pachtauga naa sharmauga,
Haa has rahe hoge apne, mai fir bhi kadam barhauga, mai fir bhi kadam barhauga….
Dekh hai talab mujhe paane ki, mai kuch bhi kar jauga,
Hairaan hogi raaahein bhi, jab mai unse guzar jauga…
Bewakoof dekh lag gayi na thokar, lahu beh raha hai tere tann se,
Ab bhi waqt hai mere jigri, tu laut ja kasam se…
Tehh karke aadha rasta, ab kuch bhi ho na ruk pauga,
Av to behh rahi hai lahuu hi bas, mai jaan bhi de jauga….
Tu ho gaya hai pagal, par na laga tha mujhe ye
Tu tik payega thori bhi derr, par bhara para hai tu himmat se…
Ha dekh hai maine sapna ek, dekha hai khuli aankh se
Hoge sab sapne sach, waada hai apne aap se…
Ab dekh kar tera jazba, mai bhi haar gaya huu tujhse,
Pahunch jaaye tu manzil ko, yahi fariyaad hai meri rabb se…
Dekh dikh rahi hai na manzil, ye thaan liya maine sar pe
Yakeen tha mujhe khud par, or tha bharosa rab – e – kainat pe…
Mai samjh raha tha tujhe bawla, Par Farhaad dikha diya tune karke ye,
Ke hai agar mohabbat manzil se, to thamte nahi na rukte kabhi darr se…
Hai agar junooniyat to kaante phool hoge tere liye,
Hass ke jhel lega tu sab kuch, manjil intezaar mein hogi tere liye….
By Farhaad Hussain Ayubi
Comentários