By Kshitij Kapoor
Mukam is mod aa khada ki ab dil dhadakta nhi hai,
Aur mujhe koi insaan bhi ab kabil samajhta nhi hai,
Kyunki dubki laga chuka tha us nadi mein,
Jaha mann machal chuka tha ek machli pe,
Pani mein hi jeevan jeene ki icha hui bas,
Khwahishen puri ho aisi hi chah thi tab,
Par kismat ne palti kya bakhubi maari,
Jis machli ke sahare apni zindagi sawari,
Usko meri duniya se bahar le gya ek मछुआरा,
Sailab aaya us taalaab mein aansuon ke dwara,
Par machli to nayi shuruaat se khush hai,
Apni roz marra ki zindagi mein masroof hai,
Khol gyi thi mere mann ki kitab, us par se tere छाप kaise mitau?
Har kagaz ke panno par se tere pakke hastakshar kaise mitau?
Yaadon ko to fir bhi sametkar dafna sakta hu magar,
Apni aadaton mein tera chehra dikhta har pal, usko kaise mitau?
By Kshitij Kapoor
Comments