By Arnav Singhal
seekh rahe hein hum jeena bin tere
nami palkon se aasun beh rahe he mere
ab bistar pe karwat leta hu to nahi dhikti tu
purani tasveeron se hi man ko behla leta hu
wo lamhe jo tere sath naseeb mujhe hue the
yaad he mujhe poori barikiyon se
gum ke nashe me neend ke bina aate he sapne
aasuon ke dhaago se silraha hu dil ko apne
teri kahaniyon me itna kho chuka tha me
ki bhool gaya tha khud ki hi zindagi ko me
magar kabhi hui he judaai to kabhi to milaap bhi hoga
agar koi anokha sa aajaye to ye fizza bhi rangeen hoga
to shayad firse behjaunaga is mohabbat ke vish me mein
par iss adhbud se bhavna ki yehi to visheshtha he
duniya ka hume diya hua sabse purana aur keemti taufa he
har bar ek nayi aur khoobsurat kahani ki tarah aata he
jese har saal ye pyaara sawaan baarish ko leke aata he
By Arnav Singhal
Comments