By A R Shubham
Shab-e-intezaar guzar kyu nhi jaati
Ye aakhiri umeed bhi mar kyu nhi jaati
Aake kyu khadi hai khushiya darwaaze par
Ajnabee ka ghr samajh jldi guzar kyu nhi jaati
Gham-e-tark-e-wafa qayam hai abhi tak
Mehboob ki ye bheint bikhar kyu nhi jaati
Ishq krna baccho ko isliye nhi sikhaya
Fir kehte ye aadat sudhar kyu nhi jaati
Aalim se maine pucha alwida kehte hue
Dua jidhar bhejo udhar kyu nhi jaati
Wada kiya tha tune wada nibhane ka
Wade me tere wafaai nazar kyu nhi aati
By A R Shubham
Komentari