top of page

Shiv-Shakti

By Priya


ki shaishav Se Shav hone se pahle Shiv ko Jaan Lena Hi Jivan ki safalta hai

ki Apne andar ke Shiv aur Shakti ko Jaan

Lena Hi Jivan ki safalta hai

ki Kailash Mein Nahin Kashi mein nahi na hi

Shiv Kedarnath Mein Hai

Hum Shivam Hai, Shivam Hum Hain, Hum

Mein Shiv-Shakti sath mein hain

Ki Tum Hi Krodh,Ho Tum Hi Tandav Ho,Tum Hi

Aadhi Anant Ho

Tumhi Prem Ho,Tum hi Karuna Ho,Tumhi

vasnaon Ka Ant Ho

Tumhi Bhuja-Bal,Tumhi nyaay,tumhin Krodh ki Jwala Ho

Tumhi najukta,Tumhi Mamta,Tumhi Shanti ka Pyala Ho

Hamen Shiv Ko jagana Hai Apna purushatva

Bachana Hai

Hamen Shakti bhi jagani hai Stree ka naritva

Bachana hai




na Keval Nar Mein hi purushtva hota hai na Keval Nari Mein hi streetva hota hai

thoda sa streetva purushon mein bhi aur thoda sa nariyon me b purushtva Hota Hai Hamen isi purushtva Aur streetva Ko

Shiv-Shakti banana hai

aur is Shiv-Shakti ko jagane se pahle Hamen apna Bhaktitva jagana Hai

ki is Brahmand ke alava aur bhi Kai

Brahmand Hai

vahan Koi chhalava Nahin chalta na Chalta

Koi karmkand Hai

Hamen isi Sansar Mein Rahte Hue uss

Brahmand Tak Ho Aana Hai

Sari Duniya ghoom kar bus Khud Tak Laut Aana Hai

ki Saanson ke thamne se pahle Khud Ko Jaan Lena Hi mrutyu ki safalta hai

ki jeetey ji Apne andar ke Shiv Shakti ko Jaga Lena Hi mrutyu ki safalta hai.


By Priya




4 views0 comments

Recent Posts

See All

Longing

By Sushmita Sadhu I travelled three leagues in search of your parable, Gathering dusk and doubt in this radiant shell. That chestnut bark...

ਜੇ

Kommentare

Mit 0 von 5 Sternen bewertet.
Noch keine Ratings

Rating hinzufügen
bottom of page