By Vipul Mishra
Is safar pe hu mai akela chala
Par khada nhi mai tanha
Mai suraj ki jwale apni aankho me bharu aur vo dheere dheere bujh jaye,
Mujhe dar use motiyabind na hojaye, fir…
Ye aankh Un jwaalon ko mashale bana kr raat ko sitare chamkata hai,
Meri mehnat ka jasoos to raat hai,
Din to bas khwabon ka khoon krta hai,
Kuch pattiya sarsarati hui aawaz krti hai,
Pashan chuppi me cheekh rha hai,
Nadiya hawaon sang jhoom rhi,
Aur kuch insaani keede pradushan ka khalal daal rhe hai,
Bheed to kaafi hai yaha,
Sab ki apni kahaniyaan hai,
Apne manzar hai apne dard,
Aur khushnaseebi kaiyon ki unhe smjhne wale bhi,
Par fir bhi apne hi lehze me is bheed se alag apna raasta bana kr khamoshi kisi na kisi ko kheech hi leti hai,
Kuch apne gaano me kho jaate hai, kuch kitabon me,
Kuch khud me,
Reh jaate hai to bas ve jinke panne kaafi kore hai,
Aisa nhi hai ki unhone syahi chhidakna chhod diya hai,
Par ab itne shikhast ke baad mehnat-e-kalam se ab vo rishta na rha,
Aankhe thak gyi hai, bhauhe aapas me judne ki koshish me pareshaniyan bayaan kr rhi,
Din bhar to khoob jwale ikkattha hui hain par, kuch me ab sitare range wali khoobi thodi dhal si gayi hai,
Deh swasth hai, manas me dhuye uth rhe hai,
Vo dhuye ke baadal kai baar aankho se baarish krte hai,
Aur vo chahte hai ki kisiko khabar na ho,
Ki kahi koi isme bheeg na jaye, bheeg kya thode cheete bhi pad gaye to kamzori ka ehsaas ho jayega aur sach ka pani to badlo se barsa hi nhi to kya khak halak geela hoga?
Ujaale se andhere me utni hi nazdikiyaan hai jitni ki hasi aur taali me,
Par dil ko din bhari lagta hai, chhupne ki jagah nhi milti na…
Khair ab garmi aa rhi hai to baadal bhi kam ban rhe hai aur dhuye bhi kam ban rhe hai,
Mazbooti se sitare chamkane ka waqt aagaya hai,
Ab aur aag ki zarurat nhi rang to raakh ka bhi hota,
Aur apne sapne ke khaakh bech hi to mai ameer hua hu, usko kam aankna naainsaafi hogi,
To, sahi hai jo maine kaha aur aapne suna,
Har baar humari jeet hogi iski kya zamanta hai,
To, yahi prerna hai ki taare to khatam hone wale nhi hai par aapko aapke hisse ke range hi padenge,
To bhaunhon ko door kijie,
Reed ko sheedha,
Saans bhariye aur chal padiye apne mashal liye, ise hi to tarakki kehte hai na?
By Vipul Mishra
Comments