By Juhi Ghai
Dil ke sitar ke chaar taar,
SUKOON, PYAAR, CHAH AUR VISHWAS,
Sukoon antarmaan ka who kona hai,
Jisse har koi nahi chuu sakta,
Na hi samaj sakta hai!
Us pal ka ehsas ajj hua hai- jab khoya issi sukoon ko!
Phir, tatola isse toh paya isse apne hi antarmaan mein,
Bhatak rahe the isi ki talash mein magar kisi aur ki raah mein,
ke kahi mil jaye yeh kisi aur ki panaah mein!
Sukoon se jab sukoon ko khoja.
Daraa bhujha sa betha tha apne hi maan mein!
Jab pucha maine bade hi pagal bhav se, ke kaha chup ke baithe thae abbhav mein?
Toh keh gaya woh bade hi saral daav pey,
“Jab khoj hi neev hi galat jagah boyi thi toh use seench kaise patein?
Aab jab uss antarmaan ke taar ka saajh mil chukka hai!
Toh iss sukoon ki roshni ko antarmaan ke uss kone se nikar kar apne aap mein dhalne do,
Aab isse bhadne do!
Kyo ki sukoon hi jiske sath aap jee bhi sakte hai aur ussi sukoon ke sath aap maar bhi sakte hai!
Aur agar sukkon nhi khoja toh, na aap jee sakte hai naa hi maar sakte hai!
Toh dhund lijiye iss sukoon ko apne antarmaan k kone mein aur khul kar jee lijiye iss zindgii ke tarane ko!
By Juhi Ghai
Comments