By Arnav Singhal
teri kamhi ab aur nahi khalti
meri duniya ab sirf tujhse nahi chalti
par itni cheshtha ke bad tujhe kese bhulaon
aur kitne yaaron ko teri katha suna kar rulaon
wo raat ko kari hui meethi baatein
mujhe satati he jese bina neend ki raatein
tadpake jagati he tu mujhe har bhor
fir tu udd jati he patang ki tarah leke apni dor
sochta hu bhool jau beeti hui saari mulakatein
magar aankhen bhar dete ye dhokebaaz jazbaatein
lekin ab than liya he jeena he bin tere
to kuch lafzon se peedet honge ved mere
inn yaadon ko ek bakse me band karke
chupa diya he mene apne aasun bharke
dil ke bheetar karke unhe dafan
smaran karunga jab tak na koi pehnaye mujhe kafan
By Arnav Singhal
Comments