top of page

Tum Kisi Dhage Si

By Saurav Kumar Jha



Tum kisi dhage si aur main bandha hua ek dor hoon,

Tum vishalkay ek samandar aur main Chhota sa ek chhor hoon,

Tum ho tapta suraj main sheetal kisi chand sa,

Tum puri duniya aur main nanhi kisi jaan sa,

Tum shiv ka trishul main shloka ki meethi vaani hoon,

Tum puri Ramayan aur main gumnam koi kahani hoon,

Kehte hai log tumhari aankho me saara Jahan basta hai,

Aur dil me kahi tumhara chota sa ek bacha hasta hai,

Kehte hai log tum Qaynat me sabse sundar sabse naayab ho,

Kisi shayar ki ghazal kisi kavi ka khwab ho,

Kya ho tum har dam ye socha karta hoon,

Aur sabse ant me naam pe tumhari main thandi aahein bharta hoon,

Ek kaam karo…

Kyu na ban jao tum gulab kante main ban jau,

Tum ban jao kahani meri main tumhari baatein ban jau,

Roya na tum karo ansu main ban jau,

Kyu na sapne dekho tum aur unhe pura main kar jau.


By Saurav Kumar Jha



11 views0 comments

Recent Posts

See All

My Antidote

Avarice

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
SIGN UP AND STAY UPDATED!

Thanks for submitting!

  • Grey Twitter Icon
  • Grey LinkedIn Icon
  • Grey Facebook Icon

© 2024 by Hashtag Kalakar

bottom of page