By Farhaad Hussain Ayub
Wo din bhi kuch khaas hoga
Jis din tu mere sath/paas hoga…
Mere arso ki tamannay puri hogi
Jab tere or mere darmiyaan kuch inch ki doori hogi…
Fizaayein humse kuch keh rahi hogi
Thandi thandi hawaayein hume chuu kar beh rahi hogi…
Jazbaato par mera kaaboo na hoga
Andar ki halaton par mera kaaboo na hoga…
Silsila intezaar ka ab or na hoga
Nazdeekiyaan barhegi darmiyaan koi or na hoga…
Labo par alfaazo ki kami si hogi
Par aankhein aankho se sab kuch keh rahi hogi…
Waqt ko kehdu rukja, Tu aage na barh
Wo mere sath hai, abhi rehne de, Tu aage na barh…
Awaazo mein meri larkarahat si hogi
Pehli baar mujhe thori ghabrahat si hogi…
Phir kuch himmat karke tumse bolunga
Or saalo ka bana chittha kholunga…
Silsila yun kuch aage barhega
Haa kuch tum kahogi, kuch mai kahunga…
Dil ki baatein, wo guzri raatein, saalo ka intezaar, or usme kaha ankaha piyaar
Ehsaaso ka bana quila, jismein mohabbat ka phool khila…
Ye kuch baatein hai jo tumse kehna hai
Bs kuch kehna mat, tumhe sunte rehna hai…
Kiyaa kahu ye soch kar tum ghabrana mat
Tumhe samajhta huu samjh jauga, Tum samjhana mat…
Wo din bhi kuch khaas hoga
Jis din mere haathon mein tera hath hoga…
Wo din bhi kuch khaas hoga
Jis din tu mere sath hoga….
By Farhaad Hussain Ayub
Comments