top of page

Ye Raahein Bayaan Karengi Kahaani Teri

By A R Shubham


Ye raahen bayaan krengi kahaani teri

Tera bachpan tera budhaapa jawaani teri


Tere chehre pr parda hai teri haseen muskaan ka

Meri nazron ne dekhi hai ashkon ki rawaani teri


Muflis koi aega jb teri chaukhat pr

Dekhunga mein uss waqt mezbaani teri





Hairaan ho jo reh gye tanha raaho pr

Hairaan krti hai mujhe hairaani teri


Rago me daudte khoon me garmi nhi agar

Kis kaam ki hai fir jawaani teri


Aaj bhi yaadon me uski khoye rehte ho

'Raazey' badli nhi aadat puraani teri


By A R Shubham




11 views0 comments

Recent Posts

See All

Love

By Hemant Kumar जब जब इस मोड़ मुडा हूं मैं हर दफा मोहब्बत में टूट कर के जुड़ा हूं मैं शिक़ायत नहीं है जिसने तोड़ा मुझको टुकड़े-टुकड़े किय...

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page