By Ayesha Siddiqua
Jitne bashinde hai jahan mein, utne hai fasane
Or sab ki kaifiyat, sirf upar wala jane
Jab raaste se guzre hum, ek bheed sa aalam tha
Hum khoye hue the, apne khayalon mein
Par har taraf gham hi gham tha
Hum theher gaye ye dekhne,
ke shayad Koi gehre zakhm dikhe
Par dikhte kahan koi zakhm purane,
bhar jate hai waqt k saath, hum naye log kya hi jane
Mujhe bahut sare log mile, jo bewajah bhi ghamgeen the
Unhe ilm kaha asal gham ka, kuch seh rahe kuch seh chuke
Kitno ne khoya apno ko, kitne khudko kho chuke hai
Ye zindagi bhi ek jung hai logon,
Koi dar raha toh kai lad chuke hai
Dekho har mushkil ke baad aasani hai,
Tumhari zindagi bhi ek kahani hai
Apna kirdar aisa zahir karna,
Ke tumhare kitaab k har panne,
tumhare husn-e-seerat ki gawahi dein…
By Ayesha Siddiqua
Comments